Skip to main content

Haqeeqat Mein Woh Lutf e Zindagi Lyrics - Siddique Ismail

Download Naats - Listen & Download Naats of Famous Naat Khawans.
Naat is a poetry that specifically praises the Islamic prophet Muhammad (PBUH).
Many of the famous scholars in the earlier days of Islam wrote Naat.
People who recite Naat are known as Naat-Khuwan or Sana-Khuwan.
peeplispot.blogspot.com provies free naats of approximately all naat khawan
including Junaid Jamshed, Amir Liaquat Hussain, Owais Raza Qadri, Farhan Ali Qadri,
Mushtaq Qadri and other famous Naat Khawans
and in multiple Languages naats like Urdu naats, Islamic naats, Arbi Naats-e-Rasool,
English naats, Punjabi Naats, Sindhi Naats, Pashto Naats, Balochi Naats ,
Pakistani naats and Arabic naats. you can listen All video naats online
as well as download These naats by downloading IDm on your computer.
Download IDM from OUR BLog's Software Tab..

Haqeeqat Mein Woh Lutf e Zindagi Lyrics In Roman English

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte
Jo yaad e Mustafa se dil ko behlaya nahin kartay.

Zaban per shikwae ranj o alam laya nahin karte
Nabi kay naam lewa gham say ghabraya nahin karte.

Yeh darbaar e Mohammad hai yahan apnoon ka kiya kehna
Yahaan se hath khali gheir bhi jaya nehi karte.

Are o na samaj qurbaan hoja Inke roze par
Yeh lamhe zindagi me baar baar aya nehin karte.

Yeh he darbaar e Muhammed hai yahaan milta hei bemange
Are nadan yahaan daman ko phelaya nehi karte.

Madinay jo bhi jata hai, woh jholi bhar kay lata hai
Sakhi data hain khali haath lotaya nahin kertay.

Mohammad Mustafa key bagh key sabh phool aise hain
Jo bepani ke tar rehte hain murjaya nahi karte.

Nadamat sath le kar hashr mein ae aasio jana
Suna hei sharm waloon ko woh sharmaya nehi karte.

Jo unke damaan e rehmet say wabasta hai ae Hamid,
Kisi kay samnay woh haath phelaya nehi karte.

Mohammad Mustafa ki shaan e rehmet to zarah dekho,
Sittam sehte to hain lekin sittam daya nehi karte.

Aggar ho jazba e sadiq to aksar humne dekha he,
Woh khud tashreef le ate hain tarpaya nehi karte.

Haqeeqat me woh lutfe zindagi paya nehi karte,
Jo yaad e Mustafa se dil ko garmaya nehi karte.

Popular posts from this blog

Sialkot Stallions defended their title By defeating Karachi Dolphins ...

Here comes the 2nd best t20 team of the World ...... Sialkot Stallions... Sialkot Stallions defended their title of the Faysal Bank Super Eight Twenty20 Cup defeating Karachi Dolphins by an impressive margin of eight wickets in rawalpindi cricket satddium ......

Mujh Ko darpesh hai phir mubarak safar- Owais Raza Qadri

you can download these naats by downloding idm ... listen this beautiful naat by owais raza qadri ... mujh ko darpesh hai phir mubarak safar qafila phir madinay ka tayyar hai naikiyon ka nahi koi tosha faqat meri jholi mai ashkon ka ik haar hai koi sajdon ki saughaat hai na koi zuhd o taqwa mere paas sarkar hai chal para hoon madinay ki janb magar haaye sar par gunahon ka anbaar hai jurm o isiyan pe apne lajata hua aur ashk e nadamat bahata hua teri rehmat pe nazrain jamata hua dar pe haazir ye tera gunahgar hai mujrimon ko shaha bakhshwata hai tu saari ummat ki bigdi banata hai tu gham kay maaron ko seenay lagata hai tu bay kason ghamzadon ka tu gham khwar hai tera saani kaha shah e kon o makaa aur mujh sa aasi bhi ummat mai ho ga kahan tere afwa o karam ka shah e do jahan kiya koi mujh se barr kar bhi haqdar hai thokrain dar ba dar kab talak khaaoon main phir madinay muqaddar se jab aaoon main kash qadmon main sarkar mar jaaoon main ya nabi ye tamanna e attar hai