Skip to main content

Main To Aashiq Hoon - Farhan Ali Qadri

Listen This Beautiful Naat By Farhan Ali Qadri and you can download these naats by downloading IDM on you caomputer ...

MeiN to aashiq hooN Nabi ka
Zikr-e-Sarwar maiN mujhay khoia howa rehnay doo
Iss pay dunia joo khafa hay to khafa rehnay doo
Ya Muhammad ka wazeefa hay labooN par har dam
Dil ko bas yad-e-Muhammad maiN fana rehnay do
Dil maiN Nabi ki yaad naiN daira jama lia
Saray ghamoN say aap kay gham naiN bacha lia
Qurban jawoN ya Nabi tairay muqam par
Tu naiN patharoN ko bhi kalama paRha dia
wiraniaN naaN aayieN gi aankhoN maiN ab kabhi
Khak-e-dar-e-Rasool surma lag alia
Seenay maiN hay bahar sa maila laga howa
Jab say tumharay dard ko mehmaN bana lia
Ghulami-e-Rasool ka tuhfa saja kay daikh
NadaN unn kay dar pay tu sar ko jhuka kay daikh
Aati hay kaisay josh maiN rehmat Huzoor ki
Tu dastan-e-gham zara un ko suna kay daikh
QadmoN maiN tairay hooN gey khazany jahaN kay
Ik baar unn kay naam pay sub kuch luta kay daikh
Dard-o-aalam kay maray howay kia daity haiN
Hum to bas un ki nigahooN ko dua daity haiN
Banda ban’na hay Khuda ka tu gada bun unn ka
Jo faqeeroN ko shehnshah bana daity haiN
Aqal waloN kay naseeboN maiN kahaN zooq-e-janooN
Ishq walay haiN joo har cheez luta daity haiN
Jab lia nam-e-Nabi maiN nain dua say pehlay
Mairi aawaz wahaN pohanchi saba say pehlay
Dam-e-aakhir mujhay aaqa ki ziarat ho gi
Aik din aayeN gey Sarkar qaza say pehlay
Rab say karta hoon dua paRh kay Muhammad pay darood
Yeh waseela bhi zarori hay dua say pehlay
Hum naiN bhi dar-e-aqdas pay jamaieN nazraiN
Jiss jagha milta hay mangtooN ko sada say pehlay
Ghulam haiN ghulam haiN Rasool kay ghulam haiN
Ghulami-e-Rasool maiN mout bhi qabool hay
Joo naaN ho ishq-e-Mustafa to zindagi fazool hay
Mairay to aap hee sub kuch haiN Rehmat-e-Aalam
MaiN ji raha hooN zamany maiN aap hee kay liay
Har waqt tasawur maiN Madeenay ki gali hay
Ab dar badari hay naaN ghareeb-ul-watani hay
Woh sham-e-haram jiss say munawar hay Madina
Kabay ki qasam ronaq-e-kaba bhi wohi hay
Iss shehar maiN bik jatay haiN khud aa kay kharid’dar
Yeh Misar ka bazaar naheeN shehar-e-Nabi hay

Popular posts from this blog

Khawaja Online ( Obama Episode )

Khawaja online is an entertainment Program broadcasts on ATV , Here are some of the beautiful episodes.

November 20th Pakistan vs Srilanka Amazing Moment | Power of Prayers

On November 20 , 2011 , When the 4th ODI between Srilanka and Pakistan was being played. At a stage when srilanka was doing well and the scoreboard was Score : 135/3 Overs : 34.3 The cameraman moved his camera to the crowd where a Pakistani girl was praying for the success of Pakistani team. Srilankan Commentator Russel Arnold said the following statement "I don't think The prayers are gonna help at this stage" and soon after this silly statement , wickets started to fall 4th wicket at 155 5th wicket at 156 6th wicket at 161 7th wicket at 168 8th wicket at 168 9th wicket at 174 10th wicket at 174 and they lost 7 wickets in 19 runs. and Pakistan won by 26 runs and Allah Almighty showed the importance of Prayers. Please skip the video 8:46 to see the proof

Action Wallpapers" Best Ever Wallpapers"

Here comes some of the stunning movies action wallpapers , Please click the wallpaper to see in its original size Dont Forget To Watch  Excellent Wallpapers Click Here